Skip to main content

Apple vission pro.


 Namaskar doston,is artical me hum apple vission pro ke bare me janenge aur janenge ki kaisha VR headset AR headset aur MR headset future me mobiles ki jagah legi,to bina kisi deri ke aage badhte hai aur jante hai ki kya naya hai is technology me.


 Apple vission pro kya hai? 

Apple vission pro ek mixed reality (MR) headset hai, jise apple ke CEO Tim Cook ne 5th june 2023 ko Apple ke World wide devlopers confrence (WWDC) me launch Kiya tha.yah ek aisha device hai, jo aapko virtual and real world dono ka experience ek sath deta hai. Jaisha is picture me dikhai de rha hai.



Isko samjhane me aur aasani hogi agar hum mixed reality ko achchhe se samjhe,to aaiye jante hai ki (M.R) mixed reality ke bare me.


 Mixed reality kya hota hai?

Mixed reality (M.R) ek technology hai. jise virtual reality aur augmented reality ko milakar banaya gya hai. Isme real world aur digital elements ko combine Kiya jata hai. Jo ek naye immersive environment create karta hai.

                      Yahan dhayan Dene wali baat yah hai ki (M.R) me real world me digital elements ko combine Kiya jata hai. Jaisha aap uper pictures me dhekh sakte hai.





For example:- imagine kijiye ki aap ek mixed reality headset pehan kar ek empty room me Khade/ baithe ho. Jahan aapko ek digital element dikh rha hai. Jab aap us digital element ke pass jate Hain to ye digital element aapke samne 3d form mein appear hota hai. Aap usko touch, move aur manipulate kar sakte hai. Jaisha hum sab real- life object ke sath karte hai. Ye digital element aapko real world ke sath merge hokar ek naya experience provide karta hai. Jo mixed reality ka ek example hai. Isko aur achhe se samjhana hai to aap iron man movie dhekh sakte hai. 

 


   Apple vission pro ke specifications:-

 • Display:- two ultra high resolution display jinme se harek me 1920×2160 pixel ka resolution hoga. Display ka refresh rate 90 H.z hai, jo behad sahaj aur comfortable image Anubhav pradan krega.



• Camera:- isme total 12 camera honge, jinme se do front-facing camera jinka use video calling image capture ke liye Kiya jayega.


• Two eye tracking camera, jinka use aankhon ko track karne ke liye kiya jayega.
• Two face tracking camera, jinka use chehre ke gati ko track karne ke liye kiya jayega.
• Ek lidar scaner, jiska use vastvik duniya ke parivesh ko scan karne ke liye kiya jayega. 



• Apple Vision Pro ka processor Apple M2 chip hai. Yah chip 5nm manufacturing process par banaya gaya hai. Ismein 8 CPU cores hain, jinmein se 4 performance cores hain aur 4 efficiency cores hain. Har performance core ka clock speed 3.4 GHz hai, aur har efficiency core ka clock speed 2.4 GHz hai. Is chip mein 10 GPU cores bhi hain, jinmein se har core ka peak performance 3.578 TFLOPS hai. Is chip mein 16 Neural Engine cores bhi hain, jinmein se har core ka peak performance 15.8 trillion operations per second (TOPS) hai, jo vission pro ko tez aur kushal bnayega


TFLOPS ka arth?

:- yah ek computer ke pradarshan ko mapane ka ek tarika hai. Ek TFLOPS ka arth hai ki computer 1 second me 1trillion floting - point opration kar sakta hai.


• New audio system, jo aapko ek clear audio experience dega. 



• New software system, vission pro apple ke new operating system(Vission OS) per chalega. (Vission OS) ek shaktishali operating system hai. jo Vission Pro ko advance features ke liye saksham bnata hai.


• Other features

  Wi-Fi 6E

  Bluetooth 5.3

  Usb-c Port 



Memory/storage and ram type

:- 16gb RAM 1 TB SSD Storage and 2x8gb LPDDR5x RAM type ke sath aata hai. 

 

  Apple vission pro ki price?

Apple ke according unhone abhi tak vission pro ke cost ki ghoshna nhi ki hai. Leaks ki baat kre to, headset ki starting price $3499 hone ki ummid hai.



Apple vission pro ka future?


Apple vission pro ka future kafi bright hai. Ye Kai tarah se karyon ke liye upyogi hai.

Example:- gaming, education, medical, entertainment, business aur daily karyon ke liye.


Apple vission pro ke labh aur hani?


Apple vission pro ke labh:- 


• Gaming:- vission pro ka use gaming ke liye kiya ja sakta hai. Jisme players real world ke surround ghumte hue virtual world me enter kar sakte hai. 



entertainment:- vission pro ka upyog flim dhekhne, T.V shows dhekhne,online content consumption ke liye, aur other enjoyment ke liye kiya ja sakta hai.



Education:- vission pro ka use education ke liye ek powerful Device ke roop me kiya ja sakta hai.Student virtual world me enter kr experiment kar sakte hai aur kafi cheezen sikh sakte hai.



Agar dhekhe to iska upyog businesses me bhi business ko large scale oe le Jane me kiya ja sakta hai, medical field me bhi kafi cheezen sikhane ke liye kiya ja sakta hai.


Apple vission pro ke hani:- 


• High cost:-aaj ke jamane me hum sabhi ko pta hai ki apple company ki brand value kya hai. New technology ke sath apple low ya mid segment ki price me ise lauch to krega nhi ho na ho iski High cost kuchh logon ko effect zarur kregi. Ye iski hani me se ek karan ho sakta hai.


• battery life:- kisi bhi device me Battery life ki problem bahut hi common hai. Apple Vision Pro ki battery life ek full charge per 8-10 ghanta tak chal sakti hai. Lekin, agar aap ise bahut zyada use karte hain, to battery life kam ho sakti


• helath realated problem:- 


1.Eye strain:- vission pro ka use bahut zyada Krna eye strain ka Karan ban sakta hai, eye strain se aankhon me dard ho sakti hai



2.neack pain:- vission pro ko aksar ek hi position main use Kiya jata hai. Jisse neack pain ho sakati hai jisse gardan mein dard aur stiffness ho sakti hai.



3.headache:- vission pro ka use bahut zyada karna headache ka Karan ban sakta hai



Dhekha jaye to harek device ko uski kashamta se zayada chalana us device ke liye aur usko use karne Wale dono ke liye hani karan ban sakta hai aur technology cheez hi aishe hai jo apne sath kafi majedar cheeze leke aati hai aur Kai sari problems bhi leke aati hai. Ab ye hum sabhi oe nirbhar karta hai ki hum uska use kaishe krte hai.  


Conclusion

:- overall, apple vission pro ek bahut hi powerful Device ho sakta hai. Lekin, ismein kuchh limitations hain. In imitations ko solve karne ke lie apple ko kuchh cheezon pe kam karne ki zarurat hai. Agar dhekha jaye to smart phones ke baad A.R, V.R aur M.R technology hi future me common cheezen hai.



Apple vission pro se related koi bhi uljhan ho to niche comment karen. Aishe hi intersting technology related blog article ke liye Techgenz2.blogspot.com ko follow Karen dhanyavad..


Comments

Popular posts from this blog

Meta aur Metaverse: Digital Duniya Ke Pichhe Ki Kahani Aur Unke Kaam.

Hello doston,  is blog article mein hum Meta aur Metaverse ke fascinating duniya ke bare me janenge, jahan hum virtual duniya mein apne dosto se mil sakte hain, shikshan prapt kar sakte hain, vyapaar kar sakte hain, aur apne sapnon ko hakikat banane ki disha mein aggressive roop se badh sakte  hain. Aaiye, is digital duniya ko gehraai se samajhne ki koshish karte hain .  To aaiye sabse pahle hum janenge ki, "Meta kya hai?" Meta:- meta ek company ka naya naam hai, jo ki pahle Facebook ke naam se jaani jaati thi. Meta ne apne corporate rebranding ke saath metaverse ke development aur exploration ko emphasize kiya hai .  "Meta: Facebook Se Metaverse Ki Or - Rebranding Ki Kahani" :- Facebook  ka naam badalne ka aarambh official taur par 28th October 2021 ko hua. Us din, Mark Zuckerberg, Facebook ke CEO, ne ek video conference ke zariye duniya bhar ke logon se baat ki aur company ka naya avatar "Meta" announce kiya. Is announcement ke sath, unhone Meta ke corpo...

Technology Ka Evolution: Classic Tech Se AI Tak Ka Safar

 Socho agar hum 90's me hote, aur humare samne ek foldable smartphone rakha hota – kya reaction hot ? "Ek time tha jab log typewriter ko modern technology maante the, aur aaj hum laptop, touchscreen keyboards, aur voice typing ko ek normal cheez samajhte hain—jo ek zamaney me sirf science fiction lagta tha. Lekin technological advancements ke chalte, aaj ye sab possible ho paya hai. Technology ka evolution ek safar hai, jo har daur me naye surprises laata hai!" Is article me hum dekhenge ki Classic technology se shuru hua safar AI-driven duniya tak kaise pahucha, aur future me hume kya naye innovations dekhne ko mil sakte hain!" Technology hamesha evolve hoti rahi hai—har naye invention ne naye possibilities ka raasta khola. Jo cheezein ek zamane me impossible lagti thi, wahi aaj humare daily life ka hissa hain. Lekin ye safar sirf yahin tak simit nahi hai! Chaliye samajhte hain ki kaise classic technology ne naye innovations ka raasta banaya, aaj hum kis level par p...